han mujhay yaad haiii
bachpan ka vo december
thethertii daltii shamooN main
anghan ki devar se sarktii dhoop
jaltay huye koylooN ki mehak
or meray phatay huye galoOn pr
lakeerain bnatay,vo jamay huye ansoo...
asman pr jamtii,vo badlooN ki dhund dekh kar
ammi ka darvazay pr haray ho kar pokarana
or ham sabka matti bharay khanchay shambal kar
apnay apnay gharoon ko bhagna............
raat bar chup chup kar asmman ko dekh kar
barf girnay ki duaen karna
or phr subah phot.tay hi sehan main ghrtii baraf k gallon k sath
khud ko b ghalooN k sath urtay mehsoos karna
phr tum aa gyen
or bachpan ka december bet gya
tab pehroon ki saraktiithandii dhoop talay
main tumharii aik jhalak dekhnay k liye
asmman se ghirtii baraf ki chandnii
apnay vajood pr sajata raha
zameen pr bechii iiss chadar pr mere qadmmon ka har nishhaN
tumharay ghar ki dehleez tak hi jata raha
Phr vo december b beet gya
or dekhooo.....
main ab b ghalii k usi nukar pr kharahhon
thathartii dhaltii shaam b haii pr sunehrii dhoop nahii saraktii
waqt jaise tham sa gya hai
waqt k sitaray mere ballon main chandni bikhair to rahay hain
per,inhain bhego nahi patay
ye kaise berfeeli shaam hai
jis ki sardi mere ansoo jama nahii patii
jaltay koylay ka dhuaaN ankh to jalata hai
per iss main vo mehak nahii haiior deko mere ghar ka darwaza....
pat kholay khara to haiu laikin
ammi ki daant na janay kahan khoo gye???
tumharay ghar ki taraf jatay sab hi rastay
iss qadar sunsaan kyun paray hain
iss barfeeli shaam main
orr
meray bachpan k december main
kitna farq haii........????