Welcome

Chat with your friends on Notesmela chatango chatroom :)

Friday, May 4, 2012

Chin O arab hamara hindustaN hamara

Chin O arab hamara hindustaN hamara
Muslim haiN hum watan sara jahaN hamara 

Tauheed  ki amanat sin O main hai hamare 
AasaN nahi mitana nam O nishaN hamara  
DuniyaN k but kadoN mai phahla wo ghar khuda ka 
Hum is k pasbaN haiN wo pasbaN hamara 

TighoN k sayee main hum pal kar  jawaN huyeN haiN
Khanjer helal ka hai koumi nishaN hamara  
Magrib main diwarooN main gunji azaN hamari
Thamta na tha kisi se sil E rawaN hamara  

Batil se dabne wale ai aasmaN nahiN hum 
Saw bar kar chuka hai tu imtehaN hamara 
Ai gulistan E  undulus woh din hai yad tujh ko 
Tha teri daliyoN main jab aashyaN hamara 

Ai mauj E dajla ; tu bhi pahchanti hai hum ko 
Ab tak tere darya main afsaNa khah hamara 
Ai arz E pak ;teri hurmat pe kat mareN hum 
Hai khuN teri ragooN main ab tak rawaN hamara 

Salar E karwaN hai MIR_E HEJAZ apna 
Is nam se hai baqui aaram E jaN hamara 
Iqbal ka tarana bang E dara hai goya
Hota hai jada paimaN phir karwaN hamara

Sunday, January 22, 2012

Phir afsos hy is Azadi pr

Ye Azmat -E- Batil Dhoka hy

Ye Hebat -E- Kafir kuch b nhi

Mitti k khilone hain sare

Ye kuffar ka Lashkr kuch b nhi

"ALLAH" se darne walon ko

Batil se drana mushkil hy

Jab Khof-E-Khuda ho dil mai to

Ye Qaisar-o-Qisra kuch b nhi

Dastoor b hy

Tanzeem b hy

Tehzeeb b hy

Taleem b hy

"QURAN" mai likha sub kuch hy

"QURAN"se bahir kuch b nhi

"ISLAM"agr Manzoor nhi

"QURAN"agr Dastoor nhi

Phir afsos hy is Azadi pr

Ye Mulk-o-Millat"KUCH B Nhi

Sub kuch hai yaad magar, sirf KHUDA yaad nahi

Hum kon hain kia hain Baa Khuda yaad Nahin!!!
Apnay Aslaaf ki koi Bhi adda yaad Nahin!!!
Hain agar yaad to kafir k taranay he bass!!!
Hai Nahin yaad to Masjid ki sada yaad Nahin!!!
Bint-e-Hawwa ko Nachatay hain sar-e-mehfil ham!!!
kitnay sung dil hain k rasm-e-Haya yaad Nahin!!!
Aaj apni zillat ka sabab ye he hai shayad!!!
Sub kuch hai yaad magar, sirf KHUDA yaad nahi

Aye Khuda

Khaak muj main kamal rakha ha,
Ay Khuda tu ny sambhal rakha ha,

Mary aibon py daal k parda,
Mujy achon main daal rakha ha,

Apny daman sy kar k wabasta,
Har musibat ko taal rakha ha,

Main to kab ka mit gaya hota,
Khudaya tare rehmaton ny paal rakha ha...