Labon pe Phool khilte hai kisi ke Naam se pehle,
Dilo ke Deep jalte hai Chiragh-e-Shaam se pehle,
Kabhi Manzar badalne par bhi kissa chal nahi pata,
Kahani khatam hoti hai kabhi Anjaam se pehle,
Ye hi Taare Tumhaari Aankh ki Chilman mein rehte the,
Ye hi Suraj nikalta tha Tumhare Baam se pehle,
Hui hai Shaam Jangle mein Parinde laut-te honge,
Ab inko kis tarah roke Nawaah-e-Daam se pehle,
Ye saare Rang Murdaa the Tumhaari Shakl banne tak,
Ye Saare Harf Muhmal the Tumhaare Naam se pehle,
Hua hai wo agar Munsif to Ahtiyatan Hum,
Saza Tasleem karte hai kisi Ilzam se pahle..!!!
No comments:
Post a Comment