Welcome

Chat with your friends on Notesmela chatango chatroom :)

Friday, May 4, 2012

Chin O arab hamara hindustaN hamara

Chin O arab hamara hindustaN hamara
Muslim haiN hum watan sara jahaN hamara 

Tauheed  ki amanat sin O main hai hamare 
AasaN nahi mitana nam O nishaN hamara  
DuniyaN k but kadoN mai phahla wo ghar khuda ka 
Hum is k pasbaN haiN wo pasbaN hamara 

TighoN k sayee main hum pal kar  jawaN huyeN haiN
Khanjer helal ka hai koumi nishaN hamara  
Magrib main diwarooN main gunji azaN hamari
Thamta na tha kisi se sil E rawaN hamara  

Batil se dabne wale ai aasmaN nahiN hum 
Saw bar kar chuka hai tu imtehaN hamara 
Ai gulistan E  undulus woh din hai yad tujh ko 
Tha teri daliyoN main jab aashyaN hamara 

Ai mauj E dajla ; tu bhi pahchanti hai hum ko 
Ab tak tere darya main afsaNa khah hamara 
Ai arz E pak ;teri hurmat pe kat mareN hum 
Hai khuN teri ragooN main ab tak rawaN hamara 

Salar E karwaN hai MIR_E HEJAZ apna 
Is nam se hai baqui aaram E jaN hamara 
Iqbal ka tarana bang E dara hai goya
Hota hai jada paimaN phir karwaN hamara

Sunday, January 22, 2012

Phir afsos hy is Azadi pr

Ye Azmat -E- Batil Dhoka hy

Ye Hebat -E- Kafir kuch b nhi

Mitti k khilone hain sare

Ye kuffar ka Lashkr kuch b nhi

"ALLAH" se darne walon ko

Batil se drana mushkil hy

Jab Khof-E-Khuda ho dil mai to

Ye Qaisar-o-Qisra kuch b nhi

Dastoor b hy

Tanzeem b hy

Tehzeeb b hy

Taleem b hy

"QURAN" mai likha sub kuch hy

"QURAN"se bahir kuch b nhi

"ISLAM"agr Manzoor nhi

"QURAN"agr Dastoor nhi

Phir afsos hy is Azadi pr

Ye Mulk-o-Millat"KUCH B Nhi

Sub kuch hai yaad magar, sirf KHUDA yaad nahi

Hum kon hain kia hain Baa Khuda yaad Nahin!!!
Apnay Aslaaf ki koi Bhi adda yaad Nahin!!!
Hain agar yaad to kafir k taranay he bass!!!
Hai Nahin yaad to Masjid ki sada yaad Nahin!!!
Bint-e-Hawwa ko Nachatay hain sar-e-mehfil ham!!!
kitnay sung dil hain k rasm-e-Haya yaad Nahin!!!
Aaj apni zillat ka sabab ye he hai shayad!!!
Sub kuch hai yaad magar, sirf KHUDA yaad nahi

Aye Khuda

Khaak muj main kamal rakha ha,
Ay Khuda tu ny sambhal rakha ha,

Mary aibon py daal k parda,
Mujy achon main daal rakha ha,

Apny daman sy kar k wabasta,
Har musibat ko taal rakha ha,

Main to kab ka mit gaya hota,
Khudaya tare rehmaton ny paal rakha ha...

Sunday, April 17, 2011

Five year Past Papers Mathematics B.Sc Punjab University

BSc Five Years Past Papers of Mathematics 2005-2009

Saturday, November 20, 2010

December Lout Aya Hai , Tum B Lout Aao Na!!!

Usey kehna

December lout aya hai

Hawein sard hain

Aur wadiyan bi dhund mai um hain

Paharo ne barf ki shawl phir se oreh rekhi hain

Sabhi rasty tumhe pukarty hain

Tumhari yad dilaty hain

Unhe wapis bulaty hain


Usy kehna

K dekho u satao na

December lout aya hai

Tum b lout aao na!!!


DECEMBER Lot AaYa Hai..

December Lot Aaya Hai
Tumhare Lot AaNaY Ki Nayi Umeed JaGi Hai
Abhi Pichly Baras Tumne
Mere Haathon Pe Rakh K Haath
Haya Se Mouh Chupaya Tha
Abhi Pichly Baras Hi To
December K Mahiny Main
Tumhain Baahon Main Thama Tha
Aur April Aany Tak
Tumhari Jheel Ankhon Main Naya Sapna Sajaya Tha
Mere Choty Se AnGan Main
Tumahain Wehshat Si Hoti Thi, Mujhe Tumne Bataya Tha
Kisi Ki Qaid Main Rehna Mujhe Acha Nahi Lagta
Main Aik Aazaad Panchi Hoon
Suna Hai Phir Se Tanha Ho
Setember K Mahinay Main
Aise Boht Khamosh Rehte Ho
K Jis Ko Tumne Chaha Tha
Wafa K Naam Se Osko Boht Wehshat Si Thi
Wo Aik Aazaad Panchi Tha
Kisi Ki Qaid Main Rehna Ose Acha Nahi Lagta
Suna Hai Mere AanGan Ki
Tumhain Ab Yaad Aati Hai
Suna Hai Tum PAsheMa'aN Ho
Chalo Phir Aisa Karte Hain
December Ka Mahina Hai
Naya AaGhaZ Karte Hain
Tumhain Baahon Main Le Loon Main
Mere Seenay Pe Sar Rakh K
Haya Se Mouh Chupa Lo Tum
DECEMBER Lot AaYa Hai..



Tum Meri Aankh Ke Tewar Na Bhula Paao Gi

Tum Meri Aankh Ke Tewar Na Bhula Paao Gi

Ankahi Baat Ko Samjho Gi To Yaad Aaoun Ga

Hum Ne Khushiyon Ki Tarah Dukh Bhi Akhatte Dekhe Hain

Safah_E_Zeesat Ko Palto Gi To Yaad Aaaoun Ga

Isi Andaaz Main Hote Thay Mukhaatib Mujh Se

Khat Kisi Aur Ko Likho Gi To Yaad Aaaoun Ga

Sard Raaton Ke Mahakte Huye Sanaaton Main

Jub Kisi Phool Ko Choomo Gi To Yaad Aaaoun Ga

Ab Talak To Tere Ashk Main Honton Se Chura Leta Hoon

Haath Se Inhein Khud Poncho Gi To Yaad Aaaoun Ga

Shaal Pehnaaye Ga Ab Kaun December Main Tumhein

Baarishon Main Bheego Gi To Yaad Aaaoun Ga

Aaj Tum Mehfil_E_Yaaraan Pe Ho Magroor Bohot

Jub Kabhi Toot Ke Bikhro Gi To Yaad Aaaoun Ga

Haadse Aayein Ge Jeewan Main To Tum Ho Ke Nidhaal

Kisi Deewar Ko Thaamo Gi To Yaad Aaaoun Ga

Is Main Shaamil Hai Meri Bakht Ki Taareeki Bhi

Tum Siyaah Rang Jo Pehno Gi To Yaad Aaaoun Ga

December kay maheenay ka , WOh shayad akhri din tha

December kay maheenay ka
WOh shayad akhri din tha
Baras guzray kayii
Main nay "mOhabbat" lafz likha tha
KOi kaghaz k tukray par
Achanak yaad aya hai
Mujh kO kisi say baat karni thi
Ussay kehna tha
Jan-e-jaan
"mujhay tum say mOhabbat hai"
Magar main keh nahi payi
WOh kaghaz aj tak
Lipta para hai dhOOl main lekin
Kisi kO day nahi payi
DObara chah kar bhi main
MOHABBAT KAR NAHI PAYi


Dekh December Ab Mat Aana

Dekh December Ab Mat Aana
Dekh December Mere Ander
Kitnay Sehra Phail Chukay Hain
Tanhayi Ki Rait Ne Mere
Saaray Darya Paat Diye Hain
Ab Main HOOn
Aur Mere Banjar Pun Ki BOjhalta Hay
Dekh December
Teri BarFaab ShabOOn Mein
Teri BeKhuwab ShabOOn Mein
Khuwab Sweater KOn Bunay Ga
ROOh k Ander Girti Barfein KOn Chunay Ga
Dekh December Ab Mat Aana
Aur Agar Tu Aye b TO
Apnay Dukh Ki Baraf Pehan Kar
DhOOp DiyarOOn Tak Mat Jana
Mere PyarOOn Tak Mat Jana
Dekh December Ab Mat Aana



Bheega Bheega Sa Yeh December Hai

Bheega Bheega Sa Yeh December Hai
Bheegi Bheegi Si.. Tanhai Hai
In Kitaabon Main Jee Nahin Lagta
Hum Ko Sajni Ki Ya..ad Aai Hai
Bheega Bheega Sa December Hai

Shaam Ki Kaali Aankhain Jab Palkon Ko Chapkaati Hain
Kissi Pair Kay Neechay Kuch Yaadain Gungunaati Hain
Kuch Pyar Kay Aadhay Nagmay
Aadhi Pyar Ki Kahaani..
Aik Shehar Ka Raja..
Aur Ek Gaon Ki Rani
Donon Baray Premi Thay
Ban Main Aaya Kartay Thay
Unkay Pyar Kay Meethay Nagmay
Panchi Gaaya Kartay Thay
Ab Na Premi Hain
Na Woh Baatain Hain
Aur Yaadain Hi Apni Kamai Hai..
In Kitaabon Main Jee Nahin Lagta
Hum Ko Sajni Ki Yaa..ad Aaaai Hai....

Is Kamray Ki Khirki Baarish Ka Shor Sunati Hai
Aur Tumhari Aahat Hum Ko Yeh Rog Lagaati Hai..
Ab Kay Saal December Main Jab Ban Main Mein Jaoon Ga
Neeli Jheel Darakhton Kay Saayay Aur Sookhay Pattay
Saaray Tera Poochain Gain
Kahan Hai Tera Poochain Gain
Tera Premi Yaar Kahan Hai
Saaray Tera Poochain Gain
Kya Bataoon Ga
Kya Kahaani Hai
Ab To Qismat Main Apni Judai Hai..
In Kitaabon Main Jee Nahin Lagta
Hum Ko Sajni Ki Yaa..ad Aai Hai...

Shaam Dhallay Jab Panchi
Apnay Apnay Ghar Jaatay Hain
Koi Mujhay Batlayay
Mujhko Yeh Kyun Tarpaatay Hain
Mainay Bhi Ek Sapna Dekha Tha Apnay Ghar Ka..
Kho Na Jaye Mera Panchi
Lekin Mujhko Darr Tha
Mera Yeh Afsaana Hai
Saara Yeh Afsaana Hai
Mera Panchi Rasta Bhoola
Pagal Hai Anjaana Hai
Tu Gaya Hai To
Mainay Jaana Hai
Mera Dil Ab Bhi Tera Deewana Hai
In Kitaabon Main Jee Nahin Lagta
Humko Sajni Ki Ya..ad Aai Hai...

Bheega Bheega Sa Yeh December Hai
Bheegi Bheegi Si.. Tanhai Hai
In Kitaabon Main Jee Nahin Lagta
Hum Ko Sajni Ki Yaa..ad Aai Hai...


~!~ DECEMBER ~!~

Jab bhi sochoon tujhe dard apna barha leti hoon
phir har naye saal ka suraj dekh kar muskura leti hoon

Mah December ki sard raatoon ke waadey yaad karke
thorey thorey ashk ankhoon se apni baha leti hoon

kabhi jo ankhoon main terey ashk dekhoon
khuwab ban ke woh tamam ashk chura leti hoon

yeh adat to husn'o wafa ke qayal jante hain mayri
ke piyar miley jahan bhi sir apna jhuka leti hoon

jab bhi koi ghazal terey naam likhoon
batein likhta hoon tamam magar tera naam chupa leti hoon

na samjha tu ne mujhe aur na hi mayri mohabbat ko
naya saal mubarak khush rehne ki tujhe dua deti hoon

~~ DECEMBER A GAYA HAY ~~

Osey kehna December aa gia hi..
December ke guzarty hee..
Bars aik aur mazi ki chaao'n me doob jaye ga..
Osey kehna December Laot aye ga..
mgr jo khoon so jaye ga jismo'n me..
Na jagey ga..!
Osey kehna Hawaie'n sard hen, aur zindagi ke Kuhrey..
Dewaro'n me Larzaa'n hen..
Osey kehna shagofey Tehnio'n me so rahy hen..
Aur un pe barrf ki chaadr bichi hi..
Osey kehna agr suraj na nikley ga...
to kaisy barrf piglay ge..
Osey kehna Laot aye..
Osey kehna Laot aye..
Osey kehna December aa gia hi....!


December ki sard ratoon main

December ki sard ratoon main
sab apne apne bister per

jab meethi neend sou rahy hoty hain
lekin main jag rahi hoti hoon

bas yunhi chaat ko takttee rehti hoon
soch ki waadi main utarte hi khyal us ka ata hai

phir yaad bhi woh ata hy
yadoon k sath hi ye baat dil main ati hai

kia woh bhi jagta hoga
kia mujhy sochta hoga

kia uski meethi neend bhi
us se rothti hogi

kia mujh ko dhoondti hogi
Sard raton main... !!!



BAWLA

December k dinon mein tum Ne
Mujh se yeh kaha tha na

K tanha hun magar phir bhi
Tumhara sath mein doon ga

Apnay hath aankhon par meri
Rakh ker kaha tha na

Bhari duniya se takra k
Tumhara sath mein doon ga

Mujhe aaghosh mein le ker
Yeh aksar mujh se kehte the

Koi mushkil jo aye gi
Tumhara sath mein doon ga

Na badlon ga kabhi jesay
Mosam yeh badalte hain

Badalte mosmon mein bhi
Tumhara sath mein doon ga

Tumhari inhi baton se
Bohat majboor Ho ker mein

Sab k samne tum se
Yeh kehna chahti hun

Tumhare ehad-o-paiman se
To yeh mosam he achay hain

Ehad ker k nahin lotay
Yeh mosam lot aya hai

December mein kaha tha na
K wapis lout aaun ga

Abhi tak tum nahin lotay
December lout aya hai

!!* BAchpan ka December !!*

han mujhay yaad haiii
bachpan ka vo december
thethertii daltii shamooN main
anghan ki devar se sarktii dhoop
jaltay huye koylooN ki mehak
or meray phatay huye galoOn pr
lakeerain bnatay,vo jamay huye ansoo...
asman pr jamtii,vo badlooN ki dhund dekh kar
ammi ka darvazay pr haray ho kar pokarana
or ham sabka matti bharay khanchay shambal kar
apnay apnay gharoon ko bhagna............
raat bar chup chup kar asmman ko dekh kar
barf girnay ki duaen karna
or phr subah phot.tay hi sehan main ghrtii baraf k gallon k sath
khud ko b ghalooN k sath urtay mehsoos karna
phr tum aa gyen
or bachpan ka december bet gya
tab pehroon ki saraktiithandii dhoop talay
main tumharii aik jhalak dekhnay k liye
asmman se ghirtii baraf ki chandnii
apnay vajood pr sajata raha
zameen pr bechii iiss chadar pr mere qadmmon ka har nishhaN
tumharay ghar ki dehleez tak hi jata raha
Phr vo december b beet gya
or dekhooo.....
main ab b ghalii k usi nukar pr kharahhon
thathartii dhaltii shaam b haii pr sunehrii dhoop nahii saraktii
waqt jaise tham sa gya hai
waqt k sitaray mere ballon main chandni bikhair to rahay hain
per,inhain bhego nahi patay
ye kaise berfeeli shaam hai
jis ki sardi mere ansoo jama nahii patii
jaltay koylay ka dhuaaN ankh to jalata hai
per iss main vo mehak nahii haiior deko mere ghar ka darwaza....
pat kholay khara to haiu laikin
ammi ki daant na janay kahan khoo gye???
tumharay ghar ki taraf jatay sab hi rastay
iss qadar sunsaan kyun paray hain
iss barfeeli shaam main
orr
meray bachpan k december main
kitna farq haii........????